Krishna Aarti & Bhajans
॥ Aarti Kunj Bihari Ki, Shri Girdhar Krishna Murari Ki ॥
Aarti Kunj Bihari Ki, Shri Girdhar Krishna Murari Ki
Gale Mein Baijanti Mala,Bajave Murali Madhur Bala।
Shravan Mein Kundal Jhalakala,Nand Ke Anand Nandlala।
Gagan Sam Ang Kanti Kali,Radhika Chamak Rahi Aali।
Latan Mein Thadhe Banamali;
Bhramar Si Alak, Kasturi Tilak,Chandra Si Jhalak;
Lalit Chavi Shyama Pyari Ki॥
Shri Girdhar Krishna Murari Ki॥
Aarti Kunj Bihari Ki
Shri Girdhar Krishna Murari Ki॥ x2
Kanakmay Mor Mukut Bilse,Devata Darsan Ko Tarse।
Gagan So Suman Raasi Barse;
Baje Murchang, Madhur Mridang,Gwaalin Sang;
Atual Rati Gop Kumaari Ki॥
Shri Girdhar Krishna Murari Ki॥
Aarti Kunj Bihari Ki
Shri Girdhar Krishna Murari Ki॥ x2
Jahaan Te Pragat Bhayi Ganga,Kalush Kali Haarini Shri Ganga।
Smaran Te Hot Moh Bhanga;
Basi Shiv Shish, Jataa Ke Beech,Harei Agh Keech;
Charan Chhavi Shri Banvaari Ki॥
Shri Girdhar Krishna Murari Ki॥
Aarti Kunj Bihari Ki
Shri Girdhar Krishna Murari Ki॥ x2
Chamakati Ujjawal Tat Renu,Baj Rahi Vrindavan Benu।
Chahu Disi Gopi Gwaal Dhenu;
Hansat Mridu Mand, Chandani Chandra,Katat Bhav Phand;
Ter Sun Deen Bhikhaaree Ki॥
Shri Girdhar Krishna Murari Ki॥
Aarti Kunj Bihari Ki
Shri Girdhar Krishna Murari Ki॥ x2
Aarti Kunj Bihari Ki,Shri Girdhar Krishna Murari Ki॥
Aarti Kunj Bihari Ki,Shri Girdhar Krishna Murari Ki॥
Achyutam Keshavam Krishna Damodaram
Achyutam Keshavam Krishna Damodaram
Rama naraynam Janaki vallabham
Kaun kehta hai Bhagvan aate nahi
Tum Meera ke jaise bulate nahi
Achyutam Keshavam Krishna Damodaram
Rama naraynam Janakivallabham
Kaun kehta hai Bhagvan khaate nahi
Ber Shabri ke jaise khilate nahi
Achyutam Keshavam Krishna Damodaram
Rama naraynam Janaki vallabham
Kaun kehta hai Bhagvan Sote nahi
Maa Yashoda ke jaise sulate nahin
Achyutam Keshavam Krishna Damodaram
Rama naraynam Janaki vallabham
Kaun kehta hai Bhagvan Nachthe nahi
Gopiyo ki tarah tum Nachathae nahi
Achyutam Keshavam Krishna Damodaram,
Rama naraynam Janaki vallabham,
Naam Japate chalo kaam karte chalo
Har samay Krishna ka dhyaan karte chalo
Achyutam Keshavam Krishna Damodaram,
Rama naraynam Janaki vallabham,
Yaad aayegi unko kabhi na kabhi
Krishan darshan to denge kabhi na kabhi
Achyutam Keshavam Krishna Damodaram
Rama naraynam Janaki vallabham
Jag Mein Sundar Hain Do Naam
Jag Mein Sundar Hain Do Naam
Chaahe Krishna Kaho Ya Ram
Bolo Ram, Ram, Ram
Bolo Shyam, Shyam, Shyam
Makhan Brij Mein Ek Churaave
Ek Ber Bhilni Ke Khaave
Prembhav Se Bhare Anokhe
Donon Ke Hain Kaam
Chaahe Krishna Kaho Ya Ram
Jag Mein Sundar Hain Do Naam
Chaahe Krishna Kaho Ya Ram
Bolo Ram, Ram, Ram
Bolo Shyam, Shyam, Shyam
Ek Kams Paapi Ko Maare
Ek Dusht Ravan Samhare
Donon Deen Ke Dukh Harat Hain
Donon Bal Ke Dhaam
Chaahe Krishna Kaho Ya Ram
Jag Mein Sundar Hain Do Naam
Chaahe Krishna Kaho Ya Ram
Bolo Ram, Ram, Ram
Bolo Shyam, Shyam, Shyam
Ek Radhika Ke Sang Raaje
Ek Janaki Sang Biraaje
Chaahe Sita-Ram Kaho
Ya Bolo Radhe-Shyam
Jag Mein Sundar Hain Do Naam
Chaahe Krishna Kaho Ya Ram
Bolo Ram, Ram, Ram
Bolo Shyam, Shyam, Shyam
Ek Hriday Mein Prem Badhaave,
Ek Taap Santap Mitaave,
Donon Sukh Ke Sagar Hain,
Aur Donon Pooran Kaam,
Chaahe Krishna Kaho Ya Ram
Jag Mein Sundar Hain Do Naam
Chaahe Krishna Kaho Ya Ram
Bolo Ram, Ram, Ram
Bolo Shyam, Shyam, Shyam
Shri Krishna Govinda Hare Murari
Shri Krishna Govinda Hare Murari
He Nath Narayan Vasudeva
Ek Maat Svami Sakha Hamare
He Nath Narayan Vasudeva
Bandi Grah Ke Tum Avatari
Kahi Janme Kahi Pale Murari
Kisi Ke Jaye Kisi Ke Kahaye
Hai Adbhud Har Baat Tihari
Gokul Mein Chamake Mathura Ke Tare
He Nath Narayan Vasudeva
Adhar Pe Banshi Hraday Mein Radhe
Bat Gaye Donon Mein Aadhe Aadhe
He Radha Naagar He Bhakt Vatsalya
Sadaiv Bhakton Ke Kaam Sadhe
Vahi Gaye Vahi Gaye Vahi Gaye
Jaha Gaye Pukare
He Nath Narayan Vasudeva
Geeta Mein Upadesh Sunaya
Dharm Yuddh Ko Dharm Bataya
Karm Tu Kar Mat Rakh Phal Ki Ichchha
Yah Sandesh Tumhi Se Paya
Amar Hai Geeta Ke Bol Sare
He Nath Narayan Vasudeva